Wednesday, August 28, 2013

A Story that never ends

Nanhe se wo bacche ke pao, Reit me jab wo chale...
Papa ke pukarne ne pe bhi na ruke wo nanhe se pao...
Maan uska jab aasman chune chale...
chalte chalte na kabhi thake uske wo nanhe se pao...

Khush rehta bada wo, Na koi shikwa na koi gam...
Ghar ki uske mastiyo se gharwale bhi rehte bade pareshan..
School me deta padhai pe dhyan bohot kam...
Ghar pe padhte dant use,fir bhi na hua kabhi wo pareshan...

Par achanak ek din aisa kuch hua ki,pareshaniyo ka pahad jese ho aya ...
Tut gaya wo baccha andar se aisa ke,kabhi bahar na aa paya...
Chod sare duniya ki bate, padhai karne me wo lag gaya...
Bohot mehnat karke bada aadmi wo ban gaya..

khusiya jo usse kabhi na mili, de usne wo apne bacche ko...
Uske bacche ke bhi wo hi nane se pao hai jo chale kahi...
papa ke ruke na rukete hai jo...
khusiya to aa gaye uske zindagi me, par use pane ke lie kho dia usne apna bachpan kahi ...








No comments:

Post a Comment